Connect with us

Entertainment

Dharma ya Dhandha

Published

on

Dharma ya Dhandha

Darshakon aap ko pata hoga aise kai dhande hai jo ki ganda bhi hai, lekin kya aapko pata hai ke duniya ka sabse ganda Dhanda kya hai?

 Dharm yaani ki Religion. Haan aap ne thik hi suna hai, Dharm duniya ka sabse pracheentam ganda Dhandha hai. Aur ye main nahin kah raha hoon, balki itihaas gawa hai duniya ki kai aisi ghatnaye jo ye saavit kar sakta hai ki Dharm wakai mein ek Dhandha hai aur Ganda bhi hai. 

धर्म यानि की religion। हां आप ने ठीक ही सुना है, धर्म दुनिया का सबसे प्राचीनम गंदा धंधा है। और ये मैं नहीं कह रहा हूं, बाल्की इतिहास गवा है दुनिया की ऐसी घाटने जो ये सावित कर सकते हैं कि धर्म वकाई में एक धंधा है और ganda भी है।

To Chaliye aaj charcha karte hain, Dharm yaa dhandha par. 

Lekin iss baare jaanne ke liye aapko ye jaanna zaruri hai ki Dharm duniya mein kab aaya aur kyon? 

लेकिन इस बारे जाने के लिए आपको ये जानना जरूरी है कि धर्म दुनिया में कब आया और क्यों?

Archeological aur anthropological pramaan-on ke aadhaar par, yah maana jaata hai ki dhaarmik prathayen praag-aaitihaasik kaal mein ubharin kuch Laakhon saal pahale. Dhaarmik vishvaason aur prathaon ke shuruaati roop Stone age mein dekha gaya hai, jo lagbhag 2.6 million varsh pahale shuroo hua aur lagabhag 10,000 BC poorv tak chala. Iss Stone age mein manushyon ka maanna ​​tha ki praakritik vastuyen, jaise chattaanen, ped, khatarnaak jaanvar, aur praakritik kriyayen jaise ki aasmaan mein bijalee ka chamakna, baarish, bhookamp, ityaadi, ye sab bhagvaan the ya alaukik shaktiyon ka Swaroop tha. Shayad yahi ek samay tha jab dharm swachh huya karta tha, Insaan ke mann ki bhavnaao ko darshata tha. 

पुरातत्व और मानवविज्ञान प्रमाण-के आधार पर, यह माना जाता है कि धार्मिक प्रथाएं प्राग-ऐतिहासिक काल में ubhare कुछ लाख साल पहले। धार्मिक विश्वास और prathaon के shuruaati roop पाषाण युग में देखा गया है, जो लगभाग 2.6 मिलियन वर्ष पहले शुरू हुआ और लगाभाग 10,000 BC पूर्व तक चला। इस पाषाण युग में मनुष्य का मानना ​​था कि प्राकृतिक वास्तुएं, जैसे चट्टानें, पेड, खतरानाक जानवर, और प्राकृतिक क्रियाएं जैसे कि आसमान में बिजली का चमत्कार, बारिश, भूकम्प, इत्यादी, ये सब भगवान थे या अलौकिक शक्तियों का स्वरूप था। शायद यही एक समय था जब धर्म स्वच्छ हुआ करता था, इंसान के मन की भावना को दर्शाता था।

Lekin swacch Dharm ka ant bhi iss yug mein hi khatam hogaya. Kyon? Kaise? Chaliye ye bhi jaante hain.  

Zahir si baat hain ki Stone age mein hindu, muslim, sikh, Isahi jaise ekaadhik dharm-on ka janm nahin huya tha. Lekin iske baad jaise jaise insaan peshevar hone lage aur Insaano ki Sabhyata aane lagi, tab Dharm ka rakhwala hone ki zimmedaari bhi  kisi insaan ko hi lena pada. Aur isi tarah kuch insaan Godman bante gaye jaise ki sirf unhe hi bhagwaan aur dharm ki pratibhasha aati ho. 

जाहिर सी बात है कि पाषाण युग में हिंदू, मुस्लिम, सिख, इसाही जैसे एकाधिक धर्म-ऑन का जन्म नहीं हुआ था। लेकिन इसके बाद जैसे जैसे इंसान पेशवर होने लगे और इंसानों की सभ्यता आने लगी, तब धर्म का रखवाला होने की जिम्मेदारी भी किसी इंसान को ही लेना पड़ा। और इसी तरह कुछ इंसान गॉडमैन बनते गए जैसे कि सिर्फ उनको ही भगवान और धर्म की प्रतिभा आती हो।

Ye log bhagwaan aur dharm ka roop apne apne taur tareeke se nirmaan karne lage aur Dheere Dheere inn niyam-on ko apne liye ya phir apni jaati ya apne sampradaye ke paksh mein istemaal bhi karna shuru kiya. Kuchh log ek sarv-shaktishaali devta ke astitva mein vishvaas karne laage to kuch ekaadhik aur vividh Bhagwaanon mein vishwas karne lage. Aur inn vichaaron ke adhaar par insaanon ne apne beech bantwaara kar liya. Aise Janm huya ekadhik Dharm-on ka. 

ये लोग भगवान और धर्म का रूप अपने apne तौर से निर्माण करने लगे और धीरे-धीरे inn नियम-ऑन को अपने लिए या फिर अपनी जाती या अपने संप्रदाय के पक्ष में इस्तेमाल भी करना शुरू किया। कुछ लोग एक सर्व-शक्तिशाली देवता के अस्तित्व में विश्वास करने लागे तो कुछ एकाधिक और विविध भगवानों में विश्वास करने लगे। और इन विचारों के आधार पर इंसानों ने अपने बीच बंटवारा कर लिया। ऐसे जन्म हुआ एकाधिक धर्म-ओन का।

Lekin ye dharm ki padhyayti ganda kyon hai?

Darasal, aap agar bhagwaan ko ek patthar mein maante ho to wahi aapke liye bhagwaan hai, ye pratha insaan ke maan ke bhavnaao ko darshata hai aur ye swacch aur paakh bhi hai. Lekin koi aur aapko usi patthar ko bhagwaan maanne ke liye majboor karta hai, aur usisey apna phaida wasool karta hai to ise kya aap ek Ganda dhandha nahin kahoge? 

दरसाल, आप अगर भगवान को एक पत्थर में mante ho तो वही आपके लिए भगवान है, ये प्रत्येक इंसान के मान के भवन को दर्शाता है और ये स्वच्छ और पाख भी है। लेकिन कोई और आपको उसी पत्थर को भगवान मानने के लिए मजबूर कर्ता है, और उसे अपना फ़ैदा वसूल करता है तो इसे क्या आप एक गंदा धंधा नहीं कहोगे?

Kuch aisa hi ho raha tha kareeb 500 saal pahle Europe mein. Roman Catholic church ne “Indulgence” naam se kuch bech raha tha. Ise ek tarah ki shuddhikaran kah sakte hain. Ye indulgence, paise se khareeda ja sakta tha, aamtaur par ek badi rakam dekar, Issey uss vyakti ke paapon ki saja kam ho jaati thi, aisa hi prachalan tha Rome ke church mein. Indulgence ki bikree ka vyaapak roop se vipanan kiya gaya aur 1517 mein, Church ka POPE is Indulgence ko bechne aur dhan ikattha karne ke liye Germany mein kuch logon bhi bhejta tha. Iss raashi ko Vatican mein Saint peters Church ke nirmaan ke lie kiya ikattha kiya ja raha tha.

कुछ ऐसा ही हो रहा था करीब 500 साल पहले यूरोप में। रोमन कैथोलिक चर्च ने “इंडलजेन्स” नाम से कुछ बच रहा था। इसे एक तरह से शुद्धिकरण कह सकते हैं। ये भोग, पैसे से खरीदे जा सकता था, आमतौर पर एक बड़ी रकम देकर, इसे उस व्यक्ति के पापों की सजा कम हो जाती थी, ऐसा ही प्रचार था रोम के चर्च में। भोग की बिक्री का व्यापाक रूप से विपन किया गया और 1517 में, चर्च का पोप इस भोग को बेचने और धन इकठ्ठा करने के लिए जर्मनी में कुछ लोगों को भी भेजा था. इस राशि को वेटिकन में सेंट पीटर्स चर्च के निर्माण के लिए किया इकठ्ठा किया जा रहा था।

[ SOURCE: https://www.outlookindia.com/website/story/the-business-of-religion/296929 ]

Toh kya aapko lagta hai is pratha se sach mein paapon ki Shuddhi hoti thi, wo bhi paise ke madhyam se?  

Lekin phir Iss INDULGENCE bikree pratha ka bhaadi virodh huya. ek German paadree ne Catholic Church par insaan ke vishvaas ko bhrasht karne ka aarop lagaate hue ek Note likha jisme ye likha ki POPE ke paas aisa karne ka koi adhikaar nahin hai, aur usne apne church ke darvaaje par apni likhi hui NOTE chipka diya. Us vyakti ka naam Martin Luther hai, aur iss ghatnaa ke baad huya kya? 

लेकिन फिर इस्स इंडुलजेन्स बिकरी प्रथा का भादी विरोध हुआ। एक जर्मन पादरी ने कैथोलिक चर्च पर इंसान के विश्वास को भ्रष्टाचार करने का आरोप लगाते हुए एक नोट लिखा जिस्मे ये लिखा कि पोप के पास ऐसा करने का कोई अधिकार नहीं है, और उसने अपने चर्च के दरवाजे पर अपनी लिखी हुई नोट चिपका दिया। हमें व्यक्ति का नाम मार्टिन लूथर है, और इस घटना के बाद हुआ क्या?

Jaan kar hairaan honge ki Christianity ka ek naya sampradaya nikal kar aaya jise aaj protestans kaha jata hai. Martin Luther ke is aandolan ne Chirstianity dharm ko vibhaajit kar diya aur iske kaaran aaj kai European desh Catholic se Protestant ban chuki hai. Lekin kya kupratha band huya? Nahin. 

जान कर बाल होंगे कि ईसाई धर्म का एक नया संप्रदाय निकल कर आया जिसे आज प्रोटेस्टंस कहा जाता है। मार्टिन लूथर के इस आन्दोलन में ईसाई धर्म को विभाजित कर दिया और इसके कारण आज का यूरोपीय देश कैथोलिक से प्रोटेस्टेंट बन चुकी है। लेकिन क्या कुप्रथा बंद हुआ? नहीं।

bhaarat mein bhi dharm bas ek tarah ki len-den hi hai. ham aasheervaad lene ke badle mandiron mein paise chadhaate hain. ameer cash ke bajaye sona dete hain. kyon? kyonki paisa kharch kiya jaata hai. sona bhagavaan ke paas barkaraar rahata hai. 

भारत में भी धर्म बस एक तरह की लेन-देन ही है। हम आशीर्वाद लेने के बदले मंदिरों में पैसे चढ़ाते हैं। अमीर कैश के बजाए सोना देते हैं। क्यों? क्योंकी पैसा खर्च किया जाता है। सोना भगवान के पास बरकरार रहता है।

To kya bhagwaan bhi ghoosh lete hain? 

Tirupati mandir ki Website ke anusaar [ www.tirumala.org/Privileges.aspx ], mandir ko ausat mein har sal 1,000 kilo se adhik sona praapt hota hai. mandir is pratha ko protsaahit bhi karta hai aur 2011 mein, jinhonne ek kilo se adhik sona mandir mein daan kiya, unhen moorti ke “VIP darshan” praath huya jisaka arth hai kataar mein khade logon se pahle. To huya yun ki Tirupati bhagwaan sone dene waaalon ko zyada phaida dete hain. Jaise ki koi bhrasht sarkaari Adhikari aksar ghoosh lekar  karte hain. abhi, mandir 1 Crore rupaye se shuroo hone vaali badi rakam ki donation par kai prakaar ke visheshaadhikaar pradaan karta hai jo ki unke website mein saaf likha hai. To kya Bhagwaan ji sach mein ghoosh lete hain ya phir dharm ke rakhwaale bane huye mandir ke trustees aapke saath dharm ke naam par ek ganda dhandha chala rahe hain? Ye uttar aap hi dijiye. 

तिरुपति मंदिर की वेबसाइट के अनुवाद [ www.tirumala.org/Privileges.aspx ], मंदिर को औसत में हर साल 1,000 किलो से अधिक सोना प्राप्त होता है। मंदिर इस प्रथा को प्रोत्साहन भी करता है और 2011 में, जिन्होनने एक किलो से अधिक सोना मंदिर में दान किया, उन्हेन मूर्ति के “वीआईपी दर्शन” प्राथ हुआ जिसका अर्थ है कटार में खड़े लोगों से पहले। तो हुआ यूं कि तिरुपति भगवान सोने देने वालों को ज्यादा फंसा देते हैं। जैसे की कोई भ्रष्टाचार सरकार अधिकारी अक्सर घोष लेकर करते हैं। अभी, मंदिर 1 करोड़ रुपये से शुरू होने वाली बड़ी रकम की डोनेशन पर काई प्रकार के विशेष अधिकार प्रदान करता है जो उनके वेबसाइट में साफ लिखा है। तो क्या भगवान जी सच में घोष लेते हैं या फिर धर्म के रखवाले बने हुए मंदिर के ट्रस्टी आपके साथ धर्म के नाम पर एक गंदा धंधा चला रहे हैं? ये उत्तर आप ही दीजिए।

Kuch aisa hi hota hai Rajasthan ke udaipur mein ek Shiv mandir mein, jahaan mandir se paapmukti ka certifcate pradaan kiya jata hai jo iske pawan kund mein dubki lagaata hai aur 11 rupaye ka bhugtaan karta hai. Wakai mein paap dhone ka sasta upaye hai yahaan? To kya Ishwar bhi ab discount offers de rahe hain? Ya phir insaan-on ke is mandir ke upaar astha ka phaida utha raha hai kuch dharm ke rakhwaalen insaan. 

कुछ ऐसा ही होता है राजस्थान के उदयपुर में एक शिव मंदिर में, जहां मंदिर से पापमुक्ति का सर्टिफिकेट प्रदान किया जाता है जो इसके पवन में दुबकी लगता है और 11 रुपये का भुगता करता है। वकाई में पाप धोने का सस्ता उपाय है यहां? तो क्या ईश्वर भी अब डिस्काउंट ऑफर दे रहे हैं? या फ़िर इंसानों के इस मंदिर के ऊपर आस्था का फ़ैदा उठा रहा है कुछ धर्म के रखवालों इंसान।

[ SOURCE:  https://timesofindia.indiatimes.com/city/jaipur/a-holy-dip-and-rs-11-is-all-it-takes-to-be-certified-free-of-sins/articleshow/52426177.cms

Isi tarah islam ke naam se bhi kai dhandhe chalte hain. Allah kisi ko bhale hi na kahe lekin Osama bin Laden ne san 1998 ke February mahine mein kuch aisa hi kaha tha ki “it is the duty of all Muslims to kill U.S. citizens, civilian or military, and their allies” matlab ki American citizen, American army aur unake sahayogiyon ko maarna sabhi musalamaanon ka farz banta hai. Islam ko bahut hi sangeen aur gairkanooni ek dhandhe mein parivartit kiya hai Osama bin laden jaise kai aur bhi terrorist organizations ke head ne. Aise ek baar nahin, kai baar huya hai jab, musalmanon ko Allaah ki marzi kah kar poore viswa mein terrorism phailane ki zimmedaari soupan gaya hai. Mohammad ke naam se naam rakhne wala Khalid Sheikh Mohhamad, world trade Centre attack 2001 September 11, ka chief operation planner tha, aur Mumbai attack karne wala Ajmal Kasab bhi Islam ke dharm ko manne wala tha. Aise Itihaas mein kai aur terrorist attacks mein Islamic groups jaise Al Qaida aur Lashka-i-taiba shaamil hai. In logon ne Islam dharm ko na ko keval ek ganda dhandha banaya hai, balki inhone Islam ko ek jaanleva aur aatank ka dharm banaya huya hai. 

इसी तरह इस्लाम के नाम से भी कोई धंधे चलते हैं। अल्लाह किसी को भले ही ना कहे लेकिन ओसामा बिन लादेन ने सन 1998 के फरवरी महिन में कुछ ऐसा ही कहा था कि “सभी मुसलमानों का कर्तव्य है कि वे अमेरिकी नागरिकों, नागरिकों या सेना और उनके सहयोगियों को मारें” मतलब अमेरिकी नागरिक, अमेरिकी सेना और उनके सहयोगियों को मारना सभी मुसलामानों का फर्ज बनता है। इस्लाम को बहुत ही संगीत और गैरकनूनी एक धंधे में परिवर्तन किया है ओसामा बिन लादेन जैसा कि और भी आतंकवादी संगठनों के सिर ने. ऐसे एक बार नहीं, काई बार हुआ है जब, मुसलमानों को अल्लाह की मर्जी कह कर पूरे विश्व में आतंकवाद फैलाने की जिम्मेदारी सूपन गया है। मोहम्मद के नाम से नाम रखने वाला खालिद शेख मोहम्मद, वर्ल्ड ट्रेड सेंटर अटैक 2001 सितंबर 11, का चीफ ऑपरेशन प्लानर था, और मुंबई अटैक करने वाला अजमल कसाब भी इस्लाम के धर्म को मानने वाला था। ऐसे इतिहास में काई और आतंकवादी हमलों में इस्लामी समूहों जैसे अल कायदा और लश्का-ए-तैयबा शामिल है। लोगों में इस्लाम धर्म को ना को केवल एक गंदा धंधा बनाया है, बाल्की इनहोन इस्लाम को एक जानलेवा और आतंक का धर्म बनाया गया है।

[SOURCE: https://www.pbs.org/wgbh/pages/frontline/shows/target/etc/modern.html ]

Mashur German philosopher, Karl Marx ne kaha hai ki “Religion is opium for the masses”, Matlab ki Dharm insaanon ke liye apheem ke nashe jaisa hai aur iss nashe ka phaida jab koi insaan hi uthata tab Dharm dhandha ban jaata hai, ek ganda dhandha. Darasal Dharm aur Dhandha ek hi coin ke do sides hain jo har yug mein saath saath chalte hi rahenge kyonki jabtak Dharm par vishwas karne waale insaan duniya mein rahenge, tabtak unke vishwas ko istemaal karne waale bhi rahenge aur dharm ka dhandha chalta rahega. 

मशूर जर्मन दार्शनिक, कार्ल मार्क्स ने कहा है कि “धर्म जनता के लिए अफीम है”, मतलब की धर्म इंसानों के लिए अपीम के नशे जैसा है और इस नशे का फ़ैदा जब कोई इंसान ही उठाता है तब धर्म धंधा बन जाता है, एक गंदा धंधा . दरसल धर्म और धंधा एक ही सिक्का के दो साइड हैं जो हर युग में साथ साथ चलते ही रहेंगे क्योंकी जबतक धर्म पर विश्वास करने वाले इंसान दुनिया में रहेंगे, तबतक उनके विश्वास को करने वाले भी रहेंगे और धर्म का धंधा चलता रहेगा।

To darshakon, dhaarmik zaroor bane magar soch samajhkar. Pooja zaroor kare, lekin sirf bhagwaan ko, aur kyonki bhagwaan paisa nahin maangta hai to is Dharm ko mahaj ek paise ka khel mat banaiye. Dhanyawaad. 

दर्शनों के लिए, धार्मिक ज़रूर बने मगर सोच समझकर। पूजा जरूर करें, लेकिन सिर्फ भगवान को, और क्योंकी भगवान पैसा नहीं मांगता है तो इस धर्म को महज एक पैसे का खेल मत बनाएं। धन्यवाड़।

Continue Reading
Click to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.